Monday, August 31, 2009

Khawaab !!

Varsha ki thi veh ritu nayi
Ghanghor ghataye mast hui
aise main ek kanchan chavi
samne mere avtarit hui
chakshu uske madira ke pyale
adhro main poora madiraly
boodo se lipte uske kesh
hirday ko de gaye aavesh
sili hava kuch aisi chali
yauvan ko mehka si gayi
usne kaha bin mukh khole
aao do pag saath chale
main thaga sa uske sang chala
prem main uske bandha hua
maine poocha bolo priya
kyu hain hum aaj mile ?
wo boli bas muska ke
tum ho aaj kalpana shikh par
uttar sun main thitak sa gaya
sara paridrishay badal sa gaya
main khada akela bheeg raha tha
mann kolahal se mera bhara tha
kisi ne to chal saath mere kiya hai
bata do priya tumhara naam kya hai...